Koi mere shabdon ko awaaz dede
Shayri ko meri koi saaz dede
Yahi taqdeer likhnewalo ki
Darra darra bhatke hain deewano ke alfazon me
Bankar ehsaas dil ko chu to sake
Sangeet sa hume bahna na aaya
Hume likhna to aaya, kahna na aaya
Dariya peed ka bane andar hi andar
Bankar nadiya aankhon se bahna na aaya
Geet bana, ghazal bana, kavita bana, sher bana
Bana kya ?... shabdon ka ek gatha hi
Bankar guldasta mahka to nahi kisi ke khwabon me
Yahi taqdeer likhnewalon ki
Darra darra bhatke hain deewano ke alfazon me
1 comment:
bahut khoob bade bhai!! bahut accha vishay chuna hai aapne.. sahi kaha hai "yahi kahani hai likhnewaalon ki"
likhna to aaya par gungunana na aaya..dekhte hain ye padaav kab paar karte hain!! :)
Post a Comment