Friday, March 26, 2010

Sher sunne walon zara gaur kijiye

Bahut pyari hai ye gazal hamari
Sher sunne walo zara gaur kijiye

Zullfon ki resham chaya hai
Resham se reshmi kaya hai
Ankhon me nasha hai aur onth hain saaki
Bahut pyari hai ye gazal hamari
Sher sunne walon zara gaur kijiye

Shishe sa shwet man, Kamal sa komal tan hai
Uthti girti saanson par fida har man hai
Dayen bayen se shobhit ye chal matwali
Bahut pyari hai ye gazal hamari
Sher sunne walon zara gaur kijiye

Hathon me ye maye ka jam fika fika
Har ada har lachak tikha tikha
Aakarshan o sammohan itna
Ki hatti nahi unse ye nazar hamari
Bahut pyari hai ye gazal hamari
Sher sunne walon zara gaur kijiye

Thursday, February 25, 2010

Shabdon ko koi aawaaz de de

Koi mere shabdon ko awaaz dede

Shayri ko meri koi saaz dede

Yahi taqdeer likhnewalo ki

Darra darra bhatke hain deewano ke alfazon me

Bankar ehsaas dil ko chu to sake

Sangeet sa hume bahna na aaya

Hume likhna to aaya, kahna na aaya

Dariya peed ka bane andar hi andar

Bankar nadiya aankhon se bahna na aaya

Geet bana, ghazal bana, kavita bana, sher bana

Bana kya ?... shabdon ka ek gatha hi

Bankar guldasta mahka to nahi kisi ke khwabon me

Yahi taqdeer likhnewalon ki

Darra darra bhatke hain deewano ke alfazon me