Friday, March 26, 2010

Sher sunne walon zara gaur kijiye

Bahut pyari hai ye gazal hamari
Sher sunne walo zara gaur kijiye

Zullfon ki resham chaya hai
Resham se reshmi kaya hai
Ankhon me nasha hai aur onth hain saaki
Bahut pyari hai ye gazal hamari
Sher sunne walon zara gaur kijiye

Shishe sa shwet man, Kamal sa komal tan hai
Uthti girti saanson par fida har man hai
Dayen bayen se shobhit ye chal matwali
Bahut pyari hai ye gazal hamari
Sher sunne walon zara gaur kijiye

Hathon me ye maye ka jam fika fika
Har ada har lachak tikha tikha
Aakarshan o sammohan itna
Ki hatti nahi unse ye nazar hamari
Bahut pyari hai ye gazal hamari
Sher sunne walon zara gaur kijiye