"एक चादर साँझ ने सरे नगर पर दाल दी
यह अंधेरे की सड़क भोर तक जाती तो है"
यह अंधेरे की सड़क भोर तक जाती तो है"
Ye bomb ke visfot ye dhamake
Kitni halchal dilon me machete
Bahne lagi nagar me laal nahar
Saaya ban mandrata aatanki kahar
Dhamakon ki taal par thirakti aatank ki saqi
Ab bhi dil ke pyalon me dwesh ki haala baki!!
Kyun fizaon me ghula hai itna zahar
Saaya ban mandrata aatanki kahar
Bane hue hain sab mook darshak
Kitni baar uthi ye dhwani karkash
Dar ka mahaul hai charon pahar
Saaya ban mandrata aatanki kahar
Andhiyara chaya, ghiri hui kali ghata
Kab hogi subah , zara ye to bata!!
Kya andhiyari sadak layegi savera
Tam ki chadar chirti kab khilegi bhor
Kahar ko shant karne, Kab Hogi Seher

No comments:
Post a Comment